May 19, 2014

Woh shakhs keh main jis se mohabbat nahin karta


Woh shakhs keh main jis se mohabbat nahin karta 
Hansta hai mujhay dekh kay , nafrat nahin karta 

Ghar walon ko ghaflat pe sabhi koos rahay hain 
Choron ko magar koi malaamat nahin karta 

Detay hain ujalay meray sajdon ki gawahi 
Main chuph kay andheron main ibaadat nahin karta

Bhoola nahin aaj bhi Aadaab-e-jawani 
MAin aaj bhi auron ko naseehat nahin karta 

Duniya main "Qateel" us sa munafiq nahin koi 
Jo zulam to sehta hai baghawat nahin karta

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...