May 15, 2014

Yaar ko hum ne ja-baja dekha


Yaar ko hum ne jaa bajaa dekha 
Kahin zaahir kahin chuppa dekha 

Kahin mumkin hua , kahin wajib 
Kahin fani kahin baqa dekha

Kahin woh badshah-e-takht'nasheen 
Kahin kaasa liye gada dekha  

Kar kay dawa kahin atal haq ka 
Bar sar-e-daar woh kheencha dekha 

KAhin woh dar-e-libaas-e-mashooqa 
Bar sar-e-niyaz-o-ada dekha 

KAhin aashiq niyaz ki surat 
Seena bariyan-o-dil jala dekha

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...