Yeh nahin keh saray jahan main mujhay hum'safar hi nahin mila
Sabhi Aaitabar kay saath thay koi moh'tabar hi nahin mila
Meri nabz chu kay to dekhta keh shakista dil ki hai sada kya
Mera la'ilaaj marz na tha koi chara gar hi nahin mila
KAbhi shaher chaan liye gaye kabhi khaimay taan liye gaye
Jissay dekhta tha main khawab main mujhay woh nagar hi nahin mila
Mujhay woh makeen hi nahin milay , jinhein meri zaat se pyar ho
Jissay apna ghar main samjh sakon mujhay aisa ghar hi nahin mila
Raha muztarib mera shouq bhi mera sajda karnay ka zouq bhi
Mujhay sang-e-raah to bhout milay tera sang-e-dar hi nahin mila
Sabhi apnay apnay ga'roah kay gham-e-aarzoo ka shikaar thay
Kissay main dikhata yeh zakham-e-dil koi deeda war hi nahin mila
No comments:
Post a Comment