May 25, 2014

zakham muskuratay hain ab bhi teri aahat par


zakham muskuratay hain ab bhi teri aahat par

dard bhool jatay hain abhi bhi teri aahat par

shabnami sitaron main phool khilney lagtay hain

chaand muskuratay hain ab bhi teri aahat par

umar kaat di lakin bachpana nahin jata 

hum deay jalatay hain ab bhi teri aahat par

ghantiyaan bajti hain raqas honey lagat hai 

dard jagmagatay hain ab bhi teri aahat par

teri yaad aye to need jati rehti hai

khwaab toot jatay hain ab bhi teri aahat par 

ab bhi teri aahat par aas loat ati hai

hum deay jalatay hain ab bhi teri aahat par


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...