May 29, 2014

Mujhay is zindgani se koi shikwa nahin lakin


Zara si be'sakooni hai

Mujhay is zindgani se koi shikwa nahin lakin
Zara si be'sakooni hai 
najanay kyn meray dil main
ajab ik khauf rehta hai
mujhay mehsoos hota hai
keh meray dil ke darwaze pe
teri yaad ki dastak main woh shid'dat nahin baqi
bhout si khaas batain hain
jo mujh ko aam lagti hain
meray dil main inhain sun kar
koi toofan nahin uth'ta
teri aankhain , tera chehra
teri awaz ki rim jhim
sabhi kuch khwaab lagta hai 
mujhay mehsoos hota hai

sunehri titliyaan jaisay 
woh sab kush rang se sapnay
meray lafzon ke phoolon par
bhout din se nahin baithay
mujhay mehsoos hota hai
samay ki tez lehron ne 
hamaray rait ke kacahay gharonday
tor dalay hain
mujhay un tez lehrojn se 
sunehri titliyon jaisay
sabhi kush rang  sapno se 
 koi shikwa nahin lakin
zara si be'sakooni hai

mujhay mehsoos hota hai 
tumharay dil ke darwaze pe 
meri yaad ki dastak
meri jaan ab nahin hoto  !!
meri jaan ab nahin hota
keh meri yaad aye to
tumhari aankh bhar aye
dua'ein mangtay lamhay
mujhay tum bhool jati ho
magar phir bhi mujhay tum se 
koi shikwa nahin lakin
Ajab se be'sukooni hai
ajab ik khauf hai dil main 
main tum ko bhool jayon ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...