May 17, 2014

Zindagi main to sabhi piyaar kiya kartay hain



Zindagi main to sabhi piyaar kiya kartay hain

MAin to mar kar bhi meri jaan tumhain cha'on ga

Tu mila hai to yeh ehsaas hua hai mujh ko

Keh meri umar mohabbat kay liye thori hai

Ik zara sa gham-e-doraan ka bhi haq hai jis par

Main ne woh saans bhi teray liye rakh chori hai

Tujh pe ho jayon qurbaan tujhay cha'on ga

MAin to mar kar bhi meri jaan tumhain cha'yon ga

Apnay jazbaat main nagmaat rachanay kay liye

Main ne dharkan ki tarah dil main basaya hai tujhay

Main tasawar bhi judai ka bhala kaisay karoon

Main ne qismat ki lakeeron se churiya hai tujhay

Piyaar ka ban ke nighe'baan tujhay cha'yon ga

Main to mar kar bhi meri jaan tujhay cha'yon ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...