Aankhon kay sitaaray to kai shaam se utray
Par dil ki udaasi na dar-o-baam se utray
Kuch rang to ubhray teri gul pehr'ani ka
Kuch rang to Aaina-e-ayaam se utray
Hotay rahay dil lamha-ba-lamha teh baala
Woh zeena-ba-zenna baray araam se utray
JAb tak teray qadmon main farookash hain sabu'kash
Saaqi khat baada na lab-e-jaam se utray
Be'tamaah nawazish bhi nahin sang'dilon ki
Shayed woh meray ghar bhi kisi kaam se utray
Auron kay qaseeday faqat ad'rad thay jaana
Jo tujh pe kahay shair woh ilhaam se utray
Ae jaan-e-faraz Ae meray her dukh kay maseeha
Her zehar zamanay ka teray naam se utray
No comments:
Post a Comment