Jul 31, 2015

Ujaar lamhon ki daastanain agar kaho to sunain tum ko


Ujaar lamhon  ki daastanain agar kaho to sunain tum ko
Bhout sa hum jaagtay rahay hain chalo zara jagaein tum ko 

Tum hi jo roshni si ban kar hamari aankhon main aa basay ho 
JAb apni aankahin hi keh diya hai to phir bhala kiyon rulaein tum ko 

Tum aaj kiyon muztarib ho jaana , tumharay lehjay main toot kaisi 
Kaha na tha keh waqat dy ga kadooraton ki sazaein tum ko 

Tum aisa karna keh aik lamhay ko apni dharkan pe haath rakhna 
Meri wafaein , meray yeh jazbay agar kabhi yaad aayein tum ko 

Ghubaar alood raaston main talaash kar kar kay thak gaye hain 
Kahan pe jaa kay basay huye ho kahan se dhoond layein tum ko 

Tumhain to sukh aa gaye myussar , tumhain to hum yaad bhi nain hain 
Magar batao keh hum jo chahein ti kis tarah se bhulaein tum ko 

Tum apni baaton pe mutmaein ho , hamain bhi sharmindagi nahin hai 
Ana ki dewaar ko gira kar nahi yeh mumkin manaein tum ko 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...