Ab ky tum khwabon ko meri jagah na do
Taraptay dil ki dard ki youn dawaa na do
Duniya ky gham sounp kar mujhay
Ab kush rehnay ki dua na do
Dikhlaa kar mea'khanay ka rasta pahir
Aab-e-zam zam ki sada na do
Kaantay bhar kar meray daaman main
Mujhay phoolon ki si ada na do
Mila kar zehar meray jaam main
Mujhay be'wajha mout ki waja na do
Gunnah jo sarzard hua hai mujh se
Pal pal be'gunahi ki saza na do
Badnaam kar ky us ki galiyon main ab
Us ky ashiyaanay ka tum hi pata na do
Mohabbat kartay hain dikhana nahin jantay
Ilzaam magroori ka de kar yeh sila na do
Jala rakha hai umeedon ka dia sadiyon se
Pal bhar ki khalish se issay bhujha na do
AMin ik na'cheez sahi kisi ky dil ka hissa hoon
Mujhay youn safha-e-hasti se mita na do
Zaib nahin deta mujhay mohabbat ka hasool
Nafrat hi sahi , tarq-e-tallauq ki magar hawa na do
Cheen kar mujh se zindagi meri
Mujhay aur jeenay ki bad'dua na do
No comments:
Post a Comment