Abhi kiya kahain , abhi kiya sunain
keh sar-e-faseel sakoot-e-jana
kaf-e-roz-o-shab pe sharar numa
woh jo harf harf chraagh tha
ussay kisi hawa ne bhuja diya
kabhi lab hilain ge to poochna
sar-e-sehar ehad-e-wasal-e-dil
woh jo nighaton ka hajoom tha
ussay dast-e-moj-e-firaaq ne
teh-e-khaak kab se mila diya
kabhi gul kilain to poochna
abhi kiya kahain abhi kiya sunain
youn hi khwaishon ke hisaar main
kabhi be'sabab kabhi be'khalal
kahan kon kis se bichar gaya
kabhi phir milain ge to poochna
No comments:
Post a Comment