Abhi yeh baat kal ki hai
abhi yeh baat kal ki hai
keh main aur tu kisi lamhay
milain ajnabi ban kar
kahein anjaan rahon par
abhi yeh baat kal ki hai
kia tha sath denay ka
tumhi ne mujh se wada
magar
kuch din hi guzray thay
khilay thay jo phool dil amin
mehak jin ki tumhi se thi
khizaan ke ah'hani hathon
sabhi murjha gaye aakhir
dil-e-be'taab ki dharkan
chaman , shokhi , saba, bhanwar
tumhain sab yaad kartay hain
magar
tum aankh se oojhal
bhout hi door ho hum se
mera yeh almiya dekho
chaman ke beech tanha khara
umeed ke us aakhri patay k jharney ka
aziyat naak manzar
khuli aankhon se bari hi be'bas sy tak raha hoon
soch main gum sum
achanak khud se kehta hoon
abhi yeh baat kal ki hai
abhi yeh baat kal ki hai
keh main aur tu kisi lamhay
mile thay ajnabi ban kar
kahin anjaan rahon par
No comments:
Post a Comment