Agar kabhi meri yaad aye
To chaand raton ki naram dil'geer roshni main
kisi sitaray ko dekh lena
Agar woh nakhal falak se ur kar tumharay qadmon main aa gairay to
Yeh jaan lena woh ista'aara tha meray dil ka
Agar na aye
Magar yeh mumkin hi kis tarah hai Keh tum kisi par nigha dalo
To us ki deewar jaan na tootay
Woh apni hasti na bhool jaye
Agar kabhi meri yaad aye
guraiz karti hawa ki lehron pe hath rakhna
MAin kushboo'on main tumhain milon ga
Mujh gulabon ki patiyon main talash karna
Main Ous qatron ky aain'on main tumhain milon ga
Agar sitaron main Ous qatron main kushboo'on main
na payo mujh ko
To apney qadmon main dekh lena
Main gard hoti
Musafton main tumhain milon ga
Kahin pe roshan chraagh dekho to yeh soch lena
Keh her patangay ky sath main bhi bikhar chuka hoon
Tum apney haton se un patangon ki khaak dariya main daal dena
Main khaak ban ky samandron main safar karon ga
Kisi na dekhay huye jazeeray pe ruk kar tum ko
Sada'ein doon ga
Samandron ky safar pe nakilo to
Is jazeeray par bhi utarna
Poet : Amjad Islam Amjad
No comments:
Post a Comment