Agar kabhi zindagi mile to hamain bhi kehna 
Keh yahan to sirf saansain chal rahi hain 
Sari umangain , sari tarangain 
Mit chuki hain 
Munafaqat ky siayah , andhera taveel shab hai 
Na chal rahi hai na kat rahi hai 
Agar kabhi roshni mile to hamain bhi kehna 
Keh apna sara safar to aisay hi
Jisay dairay main guzar raha hai 
Na koi manzil na koi rasta hai 
Na koi jugnoo na rah'numa hai 
Agar kabhi raasta mile to hamain bhi kehna 
Agar kabhi rah'numa mile to hamain bhi kehna 
Agar kabhi roshni mile to hamain bhi kehna 
No comments:
Post a Comment