Jun 13, 2014

Ahwaal-e-ghum-e-zaat sunanay se raha main



Ahwaal-e-ghum-e-zaat sunanay se raha main
Ab khud k0 tamasha t0 banaany se raha main

Hur baar main tazlil-e-ana kar nai sakta
Har baar usay ja k manaany se raha main

Ehsaan ka mafh00m hai aankhain na milaana
Ehsaan kisi ka b uthaany se raha main

Mumkin hy kisi r0z ye akseer hi bun jaaye
Is dil me lagi aag bujhaany se raha main

J0 zakhm rafeeq0n k rwaiyy0n se lagey hain
W0 zakhm kisi k0 bhi dikhaany se raha main

Jaany d0 mujhy bazm-e-turab main nahin r0k0
Baar-e-ghum-e-tanhaai uthaany se raha main

Darya hun t0 darya he usey paish krunga
Piyaasy k0 samandar t0 pilaany se raha main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...