Aisay na thay hum ehal-e-dil itnay kahan kharab thay
Hum bhi kisi ki aas thay , hum bhi kisi ka khawab thay
Ab jo huye hain khair se randa-e-khalq-e-shaher hum
Chehra shab ka noor thay , sheesha-e-fun ki aab thay
Dil pe kisi kay naqsh thay surat-e-harf-e-aarzu
Is ki kitab-e-zeest main laaiq-e-intisaab thay
Aisi thein woh rafaqatein jaisay hum apnay aap main
Rang-e-shua-e-mehar thay , reza-e-aaftab thay
Wadon ka ik shaher jis se guzar rahay thay hum
Aankhein khulein to door tak her su wohi saraab thay
Dil sa chragh kab bujha , aankhein dhuwan dhuwan huwein
Kehnay ko apnay aas paas kitnay hi mahtaab thay
No comments:
Post a Comment