Aqal se andhi
Raat kay soonay sanaaton main
Ghar se bhaagnay wali larki
Apnay peechay ghar walon ko
Jaisay murda kar jaati hai
Yehni un ko sharm se ghaarat
Aur sharminda kar jaati hai
Wada karnay walay sajna
Station par bhi na aayein
Rail to phir bhi chal parti hai
Rail ki seeti baj jaati hai
Aur phir be'bas tanha larki
Duniya kay show case main aik
Shoq piece ki tarah saj jaati hai
Gar halaat ki zad main aa kar
Pair main ghangroo bandh jayein to
Qismat waqat kay haathon bajnay
Wala tabla ban jaati hai
Pehan kay gajron ki hath'kariyan
Raqs ki sooli charh jaati hai
Ab agar sajna mil bhi jayein
Ab woh un ko kab bhaati hai
Ab woh achay ghar ki beti
Sirf tawaif kehlaati hai
Sirf tawaif kehlaati hai
JAb woh boorhi ho jaati hai
Mehfil sooni ho jaati hai
Jab woh dar-pan dekhti hai to
Chehray pe jhuriyaan paati hai
Maazi ko uriyaan paati hai
Cheekhti hai aur chilaati hai
Sheeshay se sar takraati hai
Khud ko khud yeh samjhati hai
Ghar se woh hi bhaagti hai jo
Aqal se andhi ho jaati hai
Aqal se andhi ho jaati hai
No comments:
Post a Comment