Aye ho thora baitho , ek raaz ki baat batatay hain
Tum samjho ya na samjho phir bhi tum ko samjhatya hain
Jee kar ky naam kamana to aksar logon ko ata hai
Kuch aisay log bhi hotay hain jo mar kar naam kamatay hain
Pehlay to piyaar ki batain woh sharma sharma batlatay hain
Ab haal-e-dil ky afsanay batla ky sharmatay hain
Pehlay woh gussay main aksar ruk ruk kar chal parthay hain
Ab meray khayalon main shayed chalte chalte ruk jatay hain
Maloom nahin dil ki dharkan seenay main hai ya mehfil main
Lakin hum un ky jatay hi be'chain bhout ho jatay hain
Koi dhoondo us shair ko jis ne chand achay shair likhay
Likhtay likhtay waisay aksar khud main hi gum ho jatay hain
No comments:
Post a Comment