Jun 25, 2014

Ban jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga


Ban jaon agar tum sa tumhain kaisa lagay ga 
Her pal main rahoon tum se khafa kaisa lagay ga 

Parhtay ho mujhay tum jo nimazon ki tarah se 
Ho jaon agar tum se qaza kaisa lagay ga 

Tum pyaar main khud ko kabhi mitnay pe raazi ho 
Ban jaye agar pyaar saza kaisa lagay ga 

Khud se bhi ziada ho yaqeen tum ko kisi par 
Woh shakhs hi de jaye dagha kaisa lagay ga 

Tum auron ki mehfel ka dia ban kar jalo par
Tanhai mile tum ko sila kaisa lagay ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...