Jun 20, 2014

Be'sabab na raat ko nikla karo


Be'sabab na raat ko nikla karo 
Tum to meray chaand ho samjha karo

Dekhtay ho tum zamanay bhar ko jaan
Meri janib bhi kabhi dekha karo

Kiya guzarti hai tumhari raat bhi 
Sach mohabbat main kabhi bola karo

Tum ko phoolon ki nazar lag jaye na 
Tum chaman main paiir na rakha karo

Main tumhara hoon tumhari jaan hoon 
Meray baray main kabhi socha karo 

Bant'tay ho sab ko zara roshni 
Apnay ghar bhi ik dia rakha karo

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...