bhly dino ki baat hai , bhli si aik shakal thi
na yeh ke hussan taam ho , na dekhny main aam thi
na yeh keh woh chaly to keh'kashaan si raah'guzar lagay
magar woh sath ho to phir , bhla bhla safar lagay
koi rut bhi ho us ki chub fiza ka raang-o-roop thi
woh garmi'on ki cha'on thi , woh sardi'on ki dhoop thi
na mud'daton juda rahay na sath subh-o-shaam ho
na rishta wafa pe zid na yeh keh azn-e-aam ho
na aisi kush libasiyan keh sadgi gila karay
na aisi be-takal'lafi keh aaina haya karay
na ehtalaat main woh rum keh bad'maza ho khwaish'ein
na is qadar supurdagi keh zich kar'ein nawazishein
na aashqi junoon ki ' keh zindagi azaab ho
na is qadar khathor pan , keh dosti khraab ho
kabhi to baat bhi khafi kabhi sakoot bhi sakhan
kabhi to kasht zafaraan , kabhi udasiyon ka ban
suna hai ik umar hai mamalaat-e-dil ki bhi
wasal-e-jaan fiza to kiya , firaaq-e-jaan gasal ki bhi
so ik roz kiya hua , wafa ki behas chir gayi
main ishq ko amar kahon woh meri zid se chir gaye
main ishq ka aseer tha , woh ishq ko qafas kahay
keh umar bhar ke sath ko bad'tras hawas kahay
shajar hijar nahin keh hum hamesha paba gul rah'ein
na dhor hain keh rasiaan , galay main mustaqil rah'ein
mohabbaton ki wusat'ein hamaray dast-o-paa main hain
keh aik dar se nisba'tein , sagaan-e-ba'wafa main hain
main koi painting nahin keh aik frame main rahoon
wohi jo mann ka meet ho , usi ke prem main rahoon
tumhari jo bhi soch ho , main us mizaaj ka nahin
mujhay wafa se bair hai , yeh baat aj ki nahin
na mujh ko us pe maan tha , na us ko mujh pe zaham hi
jan ehad bhi koi na ho to kiya gham-e-shakistagi
so apna apna rasta hansi kushi badal liya
woh apni raah pe chal pari , main apni raah pe chal diya
No comments:
Post a Comment