Bhout hi moh'tabar hoon main
Bhout manoos hain mujh se
Prinday us ki nagri kay
Mujhay tanha nahin kartay
Yeh jungnoo us ki basti kay
Hawaein paas se jatay huye
Us ka batati hain
Keh khushbu raah main ruk kar
Sirf us kay taqadus main
Bari hi ehtraman jhuk kay chalti hai
Baharein meray raaston main
Kabhi tehra nahin kartein
Khizan rut meray paon kay talay aa kar
Bicha deti hai ik chadar
Shakista zard paton ki
Guzartay jaa rahay lamhay mujhay badla nahin kartay
Meri aankhon se ab kay khawab bhi
Uljha nahin kartay
Chalay jatay hain khamoshi se ab
Nazrein jhuka kay hum
Kisi ko aankh bhar kay bhi kabhi dekha nahin kartay
Ussay socha to kartay hain
Ussay maanga nahin kartay
Ussay maanga to kya ho ga
Ussay chaha to hai lakin
Ussay khoya kya ho ga
Bhout hi sochta hoon main
Sakoot-e-shab main tanhai mujhay aa kar bata'ti hai
Tumhein us ki khwaish ne bara anmol kar dala
Woh mil jata to kay hota
Chalo janay bhi do
Jo paas hai rikht-e-safar jano
Keh sadiyon chaltay chaltay bhi yahan se kuch na kam ho ga
Yeh jazba aisa jazba hai
Jo dhund'laa hi nahin sakta
No comments:
Post a Comment