Chaand se ab ky to meri bhi adawat nikli
Chaar soo chandani ban kar meri chahat nikli
Hijar ki shab bhi qayamat se bhala kiya kam hai ?
Kitni boseeda meray tan ki to emaarat nikli
Dil ne samjha tha dil ki riazat ko fazool
Woh to meray liye her pal ki ibadat nikli
Ab nahin shikwa koi ehad-e-guzishta se mujhay
Zindagi apni to khawabon ki amant nikli
YEh jas'sat to faqat us ky naseebon main rahi
Choona malboos ko purwa ki shrarat nikli
Umar kaati teri furqat main bahatay aansoo
Youn hi ujray huye rehna meri aadat nikli
Woh meray lafzon ka mafhoom samjh hi na saka
Ae saba raigaan yeh meri mohabbat nikli
No comments:
Post a Comment