Jun 28, 2014

Dar-e-nayaab ki tamseel hain us ki aankhain


Dar-e-nayaab ki tamseel hain us ki aankhain 
Aina hai to kabhi jheel hain us ki aankhain 

Khud main us shaks ki tasveer ba'zahir dekhon 
Meri aankhon main to tehveel hain us ki aankhain 

Ghar mumkin hai kisi tarah bhatak jaon main 
Raah-e-ehsaas main qandeel hain us ki aankhain 

Hum ne dekha hai samandar ki teh'on main ja kar 
Dar-e-irfaan ki zambeel hain us ki aankhain 

Jis ki tohjeeh  na kar pai ho kisi ne bhi"Imran"
Is mazmoon ki tafseel hain us ki aankhain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...