Jul 31, 2015

Dard-e-dil ki ab mujhay dawa chahiye


Dard-e-dil ki ab mujhay dawa chahiye
Be'wafon se thori wafa chahiye

Mera maskan banay teray qalb-o-nazar 
Naam honton pe teray saja chahiye

Jab talak dam main dam hai rahain saath hum 
Aaj hum'dam kuch aisi dua chahiye

Meri baanhon main ik din sama jayein woh
Kiya mujhay aur is kay siwa chahiye

Apni jaan tak teray naam kar di sanam 
Aur kiya tujh ko Ae be'wafa chahiye

Paas se jo guzar kar nazar phair lay 
Phir na deni ussay kuch sadaa chahiye

Tu ne sajdon main maanga hai jis ko Muaan
Saath us ko kisi aur ka chahiye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...