Jun 2, 2014

Dhoop ka mousam



Main rang main dekhti thi , kushbu main sochti thi
mujhay gumaan tha 
keh zindagi ujli khwaishon ke chragh le kar
meray dareechon main roshni-e-naveed ban kar utar rahi hai
main kohar main chandani pehan kar 
banafshi badal ka hath thamay 
fiza main parwaaz kar rahi thi
samaton main sa'haab lehjon ki barishein thein
basaraton main gulaab chaheron ki roshni thi
hawa ki resham rafaqa'tein thein
hayat khawabon ka silsala thi
khulein jo aankhain to saray manzar dhanak ky us paar reh gaye tahy
na rang meray , na khwaab meray 
huye to bas kuch azaab meray
na chaand ratain , na phool batain 
na neel subhein , na jheel shamein 
na koi aahat , na koi dastak
haroof mafhoom kho chukay thay
alamatein banjh ho chuki thein
gulabi khawabon ky perahan raakh ho chukay tahy
haqeeqaton ki barhangi 
apni sari safakiyon ky hamraah
jism-o-jaan par utar rahi thi
woh mehrbaan , saya daar badal
azaab ki rut main chor kar mujh ko ja chuka tha
zameen ki tez dhoop aankhon main chubh rahi thi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...