Jun 12, 2014

Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa


Dil munafiq tha shab-e-hijar main soya kaisa
Aur jab tujh se mila toot ky roya  kaisa

Zindagi main bhi ghazal hi ka qareena rakha 
Khwaab-dar-khwaab teray gham ko paroya kaisa

Ab to chaheron pey bhi kutbon ka gumaan hota hai 
Aankhain pathrai hui hain  lab-e-goya kaisa

Dekh ab kurab ka mousam bhi na sar'sabaz lagay 
Hijar hi hijar marasam main samoya kaisa

Aik ansoo tha keh dariya-e-nadamat tha faraz 
Dil se be'baak shanawaar ko doboya kaisa

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...