Ek hi dharti pe kartay hain dono rehan basera bhi
Neel gagan ky saye tale ghar tera bhi ghar mera bhi
Rang-o-nasal ka jhagra kaisa , kumba ik qabeela ik
Tere khoon ka laal hai rang . waisa hi rang mera bhi
Tera mera mazhab kaisa , Pyaar hi sab ka mazhab hai
Ek khuda hai tera bhi aur tera khuda hai mera bhi
Kon kis ka dost hua , jab hath main sab ky khanjar ho
Band pitaare main rakhta hai apna saamp sapera bhi
Dair hui jab barq giri thi , ab tak wehshat taari hai
Thak kar suraj doob le ga to chp'paye ga andhera bhi
No comments:
Post a Comment