Farz karo hum taaray hotay
Ik doojay ko
Door door se dekh dekh kar jaltay bujhtay
Aur phir ik din
Shaakh-e-falak se girtay
Aur tareek khalaon main kho jaatay
Dariya kay do dhaaray hotay
Apni apni moj main behtay
Aur samandar tak is andheri
Wehshi aur munh zor musaafat
KEh jaadu main tanha rehtay
Faraz karo hum bhoor samay kay panchi hotay
Urtay urtay ik doojay ko chootay
Aur phir khulay gagan ki gehri
Aur be'sarfa aankhon main kho jaatay
Abar-e-bahaar kay jhonkay hotay
Mousam kay ik be'naqshay se
Khwaab main miltay
Miltay aur juda ho jaatay
Khushk zameeno kay haathon par
Sabaz lakeerain kunda kartay
Aur un'dekhye sapnay botay
Apnay apnay aansoo ro kar chain se sotay
Farz karo hum jo kuch hain woh na hotay ?
No comments:
Post a Comment