Faaslay qurb ki pehchaan hua kartay hain
Be'sabab log parishaan hua kartay hain
Yeh haqeeqat hai jahaan toot kay chaha jaye
Wahan bicharnay kay bhi imkaan hua kartay hain
Meray phailay huye haathon ko haqarat se na dekho
Maangnay walay bhi insaan hua kartay hain
Hum be'sabar thay magar hum se bicharnay walay
Hum teri zabt pe hairaan hua kartayhain
Gham ki hiddat se kohsaar pighaltay dekhye
Inssan to phir insaan hua kartayhain
Zindagi jin kay liye jurm-o-saza ho "Natiq"
Ghar bhi un kay liye zindaan hua kartay hain
No comments:
Post a Comment