Jun 5, 2014

Gardash-e-waqat azmaati hai


Gardash-e-waqat azmaati hai 
Zindagi rastay dekhati hai

Naam lay kar kisi bahaney se
Ab teri yaad bhi sta'ti hai

Khaan-e-dil main yeh hansi teri 
Ik ajab aag si lagati hai

Hum bura kiya kahain bahaar tujhay
Phool her rang ky khilati hai

Bhool jati hai apney wadon ko
Aur phir pyaar bhi jata'ti hai

Naam leti nahin kabhi mera
Bas meray shaer gun'gunati hai

Sochta hoon zia keh woh larki
Itney ansoo kahan se lati hai

Poet : Ahmed Zia

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...