Ab ghami aur khushi kya hai 
Bin teray bhi zindagi kya hai 
Rukh kab se to phairay baithay hain 
Aankhon main phir nami kya hai 
Dil hi nahin ab ghar bhi khaali hai 
Halaat ki ab'tari kya hai 
Woh to dost naye bana le ga 
Us be'wafa ko kami kya hai 
Log khafa ab hain wafa se bhi 
Baat aisi bhi kahi kya hai 
Kacchi umar kay ab nahin "Amjad"
Phir yeh wajah-e-dil'lagi kya hai  

 
No comments:
Post a Comment