Goya andaaz-e-tazeem hai ameeron jaisa
Meray andar ka hai insaan faqeeron jaisa
Hum ne chaheray pe saja rakhi hai shaher ki ronaq
Dil ka aalam hai veeraan jazeeron jaisa
Us ky osaaf-o-khazail ne mujhay jeet liya
Meray mureedon main tha shakhs woh peeron jaisa
Is se pehlay thi aseeri bhi rihai jaisi
Ab keh azadi main hai haal aseeron jaisa
Us ko ganwa keh hain khsaray ab tak mohsin
Woh jo ik shakhs meray sath tha heeron jaisa
No comments:
Post a Comment