Hangama-e-gham se tang aa kar izhaar-e-musarat kar baitha
mashoor thi apni zinda dili danasta shrarat kar baitha
koshish to bhout ki hum ne magar paya na gham-e-hasti ka mafir
veerani-e-dil jab had se barhi ghabra ke mohabbat kar baitha
nazron s na kartay pristish-e-gham khamosh hi rehna behtar tha
dewano ko tum ne chaid diya wallah qayamat kar baitha
her cheez nahin ek markaz par ek roz idher ik roz udhar
nafrat se na dekho dushman ko shayed yeh mohabbat kar baitha
No comments:
Post a Comment