Jun 11, 2014

Hasti ka aaitbaar kiye baghair reha na jaye


Hasti ka aaitbaar kiye baghair reha na jaye
Duniya hai yahan par  jiye bin reha na jaye

Kat'ti nahin yeh zindagi umeed ky baghair
Yeh jaam woh hai jis ko paye bina reh na jaye

Chahat ka zakham dil ko tamasha na bana de
Aisa hai chaak jis ko sieay bin raha na jaye

Duniya ky is safar main hai jis ki yaad youn 
Aandhi ho tez aur dia bina raha na jaye

Ik simat tera hukam hai , ik simat kainaat 
Yeh bojh apnay sar pe liye bina raha na jaye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...