Jun 5, 2014

Hawa talash karain , roshni talash karain


Hawa talash karain , roshni talash karain
Hum aas paas kahin zindagi talash karain

Hum apni apni kushi to ganwa chukay hain sab hi
So dosron ki kushi main kushi talaash karain 

Udasion ka sabab dhoondney se kiya ho ga
Jo hum se rooth gayi , woh hansi talaash karain

Gulon ko khilney ki aadat nahin rahi to phir
Labon se lipti hui tazgi talaash karain 

Yahan ky log to apni tarah ky hain Mazhar
Jo apney jaisa na ho , Aadmi talaash karain 

Poet : Muhammad Mazhar Niazi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...