Jun 27, 2014

Her aik muskurahat muskaan nahin hoti


Her aik muskurahat muskaan  nahin hoti 
Nafrat ho ya mohabbat asaan nahin hoti
Ansoo kushi ky gham ky , hote hain aik jaisay 
In ansoo'on ki koi pehchaan nahin hoti 
Haan ,Her aik muskurahat muskaan  nahin hoti 
Nafrat ho ya mohabbat asaan nahin hoti

Her baat hai wahin pe par matlab badal gaya hai 
Dil dag'maga gaya tha , par hum sambhal gaye hain 
Aisay bhi aatay hain din , jeetay hain log lekin 
Hota hai aur sab kuch , par jaan nahin hoti
Haan ,Her aik muskurahat muskaan  nahin hoti 
Nafrat ho ya mohabbat asaan nahin hoti

Hote hain is jahan main chaheray bhi aik jaisay 
Ghoongat bhi aik jaisay , sehra bhi aik jaisay 
Sab jaanti hain nazrain , pehchanti hain nazrain 
Apni paraai surat anjaan nahin hoti 
Haan ,Her aik muskurahat muskaan  nahin hoti 
Nafrat ho ya mohabbat asaan nahin hoti

Kiya cheez hai yeh dil bhi , ho jaye jab akela 
Rehta hai sath is ky yaadon ka ik mela
Duniya bhi choot jaye , her aas toot jaye 
Mehfil yeh kabhi dil ki veeraan nahin hoti 
Ansoo kushi ky gham ky hote hain aik jaisay 
In aansoo'on ki koi pehchaan nahin hoti
Haan ,Her aik muskurahat muskaan  nahin hoti 
Nafrat ho ya mohabbat asaan nahin hoti


 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...