Hui hai shaam to aankhon main bas gaya phir tu
Kahan gaya hai , meray shaher kay musafir tu
Bhout udaas hai ik shakhs teray janay se
Jo ho sakay to chala aa usi ki khatar tu
Meri misal keh ik nakhal khushk sehra hoon
Tera khayal keh shaakh-e-chaman ka taahirtu
Main jaanta hoon keh duniya tujhay badal de gi
Main maanta hoon aisa nahin ba'zahir tu
Hansi khushi se bichar jaa agar bicharna hai
Yeh her maqaam pe kya sochta hai aakhir tu
"Faraz" tu ne ussay mushkalon main daal diya
Zamana saahib-e- zar aur sirf shaair tu
No comments:
Post a Comment