Jun 22, 2014

Hum se kiya poochtay ho hijar main kiya kartay hain


Hum se kiya poochtay ho hijar main kiya kartay hain 
Teray loat anay ki din raat dua kartay hain 

Ab ko hont nahin in ko churaney atay 
Meri aankhon main agar ashak hua kartay hain 

Teri tu janey , par ae jan-e-tamana hum to 
Saans ky sath tujhay yaad kartay hain 

Teri tasveer laga letay hain hum seenay se
Phir teray khat se teri baat kiya kartay hain 

Gar tujhay chorney ki soch bhi aye dil main 
Hum to khud ko bhi wahin chor dia kartay hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...