Hum to aseer-e-khwaab thay , tabeer jo bhi thi
Dewaar pe likhi hui tehreer jo bhi thi
Jo samnay hai sab hai yeh apnay kiye ka phal
Taqdeer ki choriye , taqdeer jo bhi thi
Aya aur ik nigha main barbaad kar gaya
Hum ehl-e-intizaar ki jageer jo bhi thi
Talib hain teray reham ky hum adal ky nahin
Jaisa bhi apna juram tha , tafseer jo bhi thi
Amjad hamari baat woh sunta to aik baar
Aankhon se us ko choomtay ,tazeer jo bhi thi
No comments:
Post a Comment