Jun 14, 2014

Itni si dua hai keh anay wala her lamha


Itni si dua hai keh anay wala her lamha 
Haseen chahaton ky phool bakhshay urooj bakshay 
Tumhari duniy main roshni ho 
tumhari mehfil main kushiyaan hoon 
Kabhi bhi tum tak dukhon ki dastak na ponch paye
Tumhari aankhon main jo sitaray chamak rahay hain 
Youn hi chamaktay rahein hamesha 
Tumharay dil tak judaeiyon , be'wafaiyon ki koi andheri kiran na ponchay 
Khuda karay keh tum her aik dil ka qaraar looto
Tumhari her aik tamana her aik khwaish tumhari 
Honton tak atay atay tumharay qadmon tak aa ponchay 
Jo ho sakay to main tumharay sab dukhon ko apnay andar utaar loon 
JAnta hoon yeh mumkin nahin magar dua to mera haq hai 
Yeh muktasir duaon ka tohfa sambhaal rakhna
Meray andheron ki fikar chor do 
Tum bas apna khyaal rakhna 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...