Jab tu paida hua kitna majboor tha
Yeh jahan teri sochon se bhi door tha
Hath paon bhi tab teray apney na thay
Teri aankhon main duniya ky sapnay na thay
Tujh ko ata bas sirf rona hi tha
Doodh pee ky kaam tera sona hi tha
Tujh ko chaln asik'khya tha maan ne teri
Tujh ko dil main basay atha maan ne teri
Maan ky saye main parwaan charhney laga
Waqat ky sath qad tera barhney laga
Ahista ahista tu kariyal jawaan ho gaya
Tujh pe sara jahan mehrbaan ho gaya
Zor-e-bazoo pe tu baat karney laga
Khud hi sajney laga , khud hi sanwarney laga
Aik din ik haseen tujhay bhaa gayi
Ban ky dulhan woh teray ghar aa gayi
Fraz apney se tu door honey laga
Beej nafrat ka khud hi tu boney laga
Phir tu maan baap ko bhi bulaney laga
Teer baton ky phir tu chlaney laga
Baat be baat us se tu larney laga
Qaida ik naya phir tu parhney laga
Yaad kar tujh se maan ne kaha aik din
Abb hamara guzara nahin teray bin
Sun keh baat tu taish main aa gaya
Tera gussa teri aqal ko kha gaya
Josh main aakar tu ne yeh maan se kaha
Main tha khamosh sab dekhta hi raha
Aaj kehta hoon peecha mera chor do
Jo hai rishta mera tum se woh tor do
Jayo ja ky kahin kaam dhanda karo
Log martay hain tum bhi kahin ja maro
BAith ky aahain bhartay thay woh raat bhar
In ki aahon ka tujh par hua na asar
Aik din baap tera chal arooth kar
Kaisay bikhri thi phir teri maan toot kar
Phir woh bhi bas aaj kal ko bhulati rahi
Zindagi us ko her roz sta'ti rahi
Aik din mout ko bhi taras aa gaya
Is ka rona bhi taqdeer ko bha gaya
Ashk aankhon main liye woh rawana hui
Mout ki ik hichki bahana hui
Ik sukoon us ky chaheray pe chanay laga
Phir tu miyat ko is ki sjaney laga
Mud'datein ho gaein aaj boorha hai tu
Jo para tooti khtiya pe koora hai tu
Teray bachay bhi ab tujh se dartay nahin
Nafratein hain mohabbat woh kartay nahin
Dard main tu pukaray kahay o meri maan
Teray dam se roshan thay dono jahan
Waqat chalta raha waqat rukta nahin
Toot jata hai woh jo keh jhukta nahin
Ban ky ibbarat ka tu ab nishaan reh gaya
Dhoond zor tera kahan reh gaya
No comments:
Post a Comment