Jitna bhi behak jaye insaan to rehta hai
Her lamha sambhlney ka imkaan to rehta hai
Sadiyon ky mrasam ki apni hai jaga lakin
Dam bhar ka ta'aluq bhi pehchaan to rehta hai
Dam torti yaadain hon ya khwaab parishaan se
Kuch paas mere us ka samna to rehta hai
Ek ky jab rishtay lamhon main bikhar jayein
Aankhain to barasti hain armaan to rehta hai
Bichray huwey logon ka milna to hai mushkil par
Umeed to rehti hai imkaan to rehta hai
No comments:
Post a Comment