Jun 13, 2014

Juda jab ho jayon to meri yaad main roya mat karna


Juda jab ho jayon to meri yaad main roya mat karna 
Her waqat ka jagna aur dair se soya mat karna

Youn hi sotay main agar zikar ho jaye mera 
Khwaab palkon pe meray piroya mat karna

Ho dil be'taab jab mujh se milnay ko 
Pyaar ki is judai main khud ko be'haal mat karo

Hamain to her haal main jeena hai youn hi tanha 
Tum apni zindagi banana , hargiz mera intizaar mat karna 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...