Kaati hai gham ki raat baray ehtaraam se
Aksar bhujha liya hai chraghon ko shaam se
Roshan hai apni bazam Aur isi ehtaraam se
Kuch dil bhi jal rahay hain chraghon ky naam se
Mudat hui hai khoon-e-tamana kiye magar
Ab tak tapak raha hai lahoo dil ky jaam se
Subha-e-bahaar hum ko bulati rahi magar
Hum khailtay rahay kisi damakti shaam se
Her saans par hai mout ka pehra laga hua
Ahista Ae hayat guzar is maqaam se
Kati tamaam umar fraib-e-bahaar main
Kaantay smait'ty rahay phoolon ky naam se
Yeh aur baat hai keh hum na sun sakey
Awaaz us ne di hai hamain her makaam se
No comments:
Post a Comment