Kaho woh chand kaisa tha
Jidher sab kuch luta aaye
Jidher aankhein ganwa aaye
Kaha sailaab jaisa tha , bhout chaha keh bach niklein , magar sab kuch baha aaye
Kaho woh hijar kaisa tha
Kabhi chu kar ussay dekha
To tum ne kya bhala paya
Kaha bas aag jaisa tha , ussay chu kar apni rooh , yeh tann mann jala aaye
Kaho woh wasal kaisa tha
Tumhein jab chu liya us ne
To kya ehsaas jaga tha
Kaha ik rastay jaisa , jidher se bas guzarta tha , makan lakin bana aaye
Kaho woh chand kaisa tha
Falak se jo utar aaya
Tumhari aankhon main basnay
Kaha woh khawab jaisa tha , nahin tabeer thi su ki , ussay ik shab sula aaye
Kaho woh ishq kaisa tha
Bina sochay bina samjhay
Bina parkhay kya tum ne
Kaha titli kay rang jaisa , bhout kaccha anokha sa , jabhi su ko bhula aaye
Kaho woh naam kaisa tha
Jissay sehraaon aur chan'chal
Hawaon pe likha tum ne
Kaha bas mousamon jaisa , na'janay kis gharri , ksi pal , kis ro main mitta aaye
No comments:
Post a Comment