Karray safar main agar raasta badalna tha
To ibtida main meray sath hi na chalna tha
Kuch is liye to bhi suraj zameen pe utra hai
Pahariyon pe jami baraf ko pighalna tha
Utar ky dil main lahoo zehar kar gaya aakhir
Woh saamp jis ko meri asteen main palna tha
YEh kiya keh tohmatein atish fishaan ky sar ayein
Zameen ko youn bhi khazana kabhi ugalna tha
MAin larzashon se atay raaston pe chal nikla
Tujhay ganwa ky mujhay phir kahan sambhalna tha
Ajab naseeb tha Mohsin ke baad marag mujhay
Chraagh ban ky khud apni lehad pe jalna tha
No comments:
Post a Comment