Karwaan saraiye main , kis ka yeh parrao hai
Shouq ky safar shayed ,raas aa nahin paye
Lut gaya hai raastay main , arzoo ka sarmaya
Door manzil-e-umeed , raasta bhi hai be'saya
Ik thakan si bhi karwaan main shamil hai
Ik chubhan ky raastay main Khar bun ky hayal hai
Rooh bhi siskata hai , uzw uzw ghyal hai
Karwaan saraye main , kis ka yeh parrao hai
Hum ne ab se pehlay bhi , aisay karwaan dekhay
Be'muraad manzil thay , na'muraad saahil thay
Gard gard jismon pe, khwaab khwaab chaheray thay
Shouq ka safar kiya tha ,daairay main phiraye thay
Ishq ki musaafat main , bas yahi to hota hai
Koi khaak karta hai , koi khaak hota hai
No comments:
Post a Comment