Keh chalni ho gaya kaaghaz
Daagh-e-dil youn qalam main bharay keh chalni ho gaya kaaghaz
Harfon main aisi be'hissi keh chalni ho gaya kaaghaz
Baray dino se kuch likhney ki naa'kaam saee main
Kuch ablay youn phootay keh chalni ho gaya kaaghaz
Is daastan-e-zindagi main hain kuch safar-e-raigaan
Kuch qaflay youn chootay keh chalni ho gaya kaaghaz
Dil se nazuk shai hai jo thokron pe hai
Kuch zakhmon si tehreerain hain keh chalni ho gaya kaaghaz
Naam-e-nami gul , aur phir woh bhi gul-e-ra'ana
Kaantay hain sath us ky youn keh chalni ho gaya kaaghaz
No comments:
Post a Comment