Jun 23, 2014

Khuda se husn ne ik roz yeh sawaal kiya


Khuda se husn ne ik roz yeh sawaal kiya 
Jahan main kiyon na mujhay tu ne la'zawaal kiya 

Mila jawaab keh tasveer khana hai duniya 
shab-e-draaz adm ka fasana hai duniya 

Hui hai rang-e-tagiyar se jab namood us ki 
Wohi haseen hai haqeeqat la'zawaal hai jis ki 

Kahain qareeb tha , yeh gutagoo qamar ne suni 
Falak pe aam hui , akhtar-e-sehar ne suni 

Sehar ne taaray se sun kar sunai shabnam ko 
Falak ne baat bata di zameen ky mehram ko 

Bhar aye phool ky ansoo payaam-e-shabnam se 
Kali ka nanha sa dil khoon ho gaya gham se

Chman se rota hua mousam-e-bahaar gaya 
Shabaab sair ko aya tha so'gawaar gaya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...