Jun 15, 2014

Kisi aur hi safar main


Kisi aur hi safar main
Sar-e-raah mil gayi thi
Tujhay aur kiya bataon
Woh teri tarah koi thi
Kisi shair-e-bymaan main
Main watan badar akela
Kabhi mout ka safar tha
Kabhi zindagi se khaila
Mera jisam jal raha tha
Woh ghaat ka sayebaan thi
Main rafaqaton ka mara
Woh meri mizaaj daan thi
Mujhay dil se us ne pooja
Usay jaan se main ne chaha
Isi hamraahi main aakhir
Kahin aa gaya dohraha
Yahan gumrahi ka imkaan
Ussay rang-o-boo ka lapka
yahan daam thay hazaron
Yahan her taraf nafs tha
Kahin zar zameen ka dal dal
Kahin jaal tha hawas ka
Woh fiza ki fakhta thi
Woh hawa ki raaj'putri
Kisi ghaat ko na dekha
Kisi jheel par na utri
Phir ik shaam aisi ayi
Keh woh shaam aakhri thi
Koi zal'zala saaisa aya
Koi barq si giri thi
Ajab andiyaan chaliein phir 
Keh bikhar gaye dil-o-jaan 
Na kahin gul wafa thi
Na chragh ehad-e-paimaan 
Woh jahaz utar gaya tha 
woh jahaz utar gaya tha 
Teri aankhon main hain ansoo
Mera dil bikhar raha hai 
Tu jahan mujhay mili hai 
Woh wahan juda hui thi
Tujhay aur kiya bataon 
woh teri tarah koi thi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...